tanhā.ī meñ dikhte lamhe jab kuchh yaad dilāte haiñ
saa.e saa.e kitne chehre āñkhoñ meñ phir jaate haiñ
ab to achchhe dil vāloñ kā qaht sā paḌtā jaatā hai
lekin naqlī chehre vaale dil apnā bharmāte haiñ
chhū jaatī hai jab bhī aa kar yādoñ kī purvā.ī sī
nanhe nanhe kitne dīpak palkoñ meñ jal jaate haiñ
apnoñ meñ begāna ban kar zinda rahnā mushkil hai
lekin dekh zamāne ham ko ham jī kar dikhlāte haiñ
jaane kab se ham baiThe haiñ sochoñ ke chaurāhe par
chaurangī kā mela hai jag ham bhī dekhe jaate haiñ