agar kuchh moḌ raste meñ na aate
to mumkin thā tujhe ham bhuul jaate
matā-e-hosh kī baazī lagā kar
bisāt-e-ishq pe ham haar jaate
kahāñ maazī kahāñ imroz-o-fardā
kahāñ se dāstāñ apnī sunāte
ġhurūr-e-zabt se pahlū bachā kar
tumhīñ ko dosto ham āzmāte
agar hotā na kuchh ḳhud par bharosa
tumheñ ai 'dard' ham mahram banāte