Rafiquzzaman

mere sar ke waste aisi saza rakhta hai kaun

Rafiquzzaman

mere sar ke vāste aisī sazā rakhtā hai kaun
āstīnoñ meñ kahīñ ḳhanjar chhupā rakhtā hai kaun
sabz shāḳhoñ par sunahre phuul se khilne lage
lab-ba-lab mausam-asar aisī duā rakhtā hai kaun
ye jo merī zaat meñ baiThā huā hai maiñ nahīñ
mujh ko mere rū-ba-rū mujh se judā rakhtā hai kaun
jo bhī hai merā amal vo bhī amal merā nahīñ
phir bhī mere naam se sab kuchh likhā rakhtā hai kaun
jaane vaalā jā chukā muñh moḌ ke barsoñ hue
dil kī chaukhaT par magar ab bhī diyā rakhtā hai kaun
rakh diyā dair-o-haram meñ us ko rakhne ko 'rafīq'
dekhnā merī tarah merā ḳhudā rakhtā hai kaun
Top Urdushayar.com