Rafiquzzaman

kitna poshida hawaon ka safar rakkha gaya

Rafiquzzaman

kitnā poshīda havāoñ kā safar rakkhā gayā
aane vaale mausamoñ se be-ḳhabar rakkhā gayā
aaj bhī phirtā huuñ us kī justujū meñ har taraf
kaun sī bastī meñ āḳhir merā ghar rakkhā gayā
chand mub.ham ḳhvāb āñkhoñ meñ liye phirtā huuñ maiñ
aur kyā mere liye zād-e-safar rakkhā gayā
dostoñ meñ kuchh mirī pahchān to baaqī rahe
is liye mujh meñ ajab rañg-e-hunar rakhā gayā
us hathelī par chamaktī ret ke zarre haiñ ab
jis hathelī par kabhī ganj-e-guhar rakhā gayā
nok-e-neza par kabhī tasht-e-ra.ūnat meñ kabhī
har tamāshe ke liye merā hī sar rakkhā gayā
merā apnā ḳhauf hī kyā kam thā lekin ai 'rafīq'
merī apnī zaat meñ kis kis kā Dar rakkhā gayā
Top Urdushayar.com