vasf sūraj hai raushnī kyā hai
tū agar hai to zindagī kyā hai
ḳhud se terī hī guftugū hai miyāñ
zikr terā hai shā.irī kyā hai
kaun jaane ki ye mirī duniyā
mere baare meñ sochtī kyā hai
terā aanā hai aur jaanā hai
guftugū kyā hai ḳhāmushī kyā hai
ḳhvāb meñ bhī use na chhū paa.e
ham se pūchho ki bebasī kyā hai
us ke lahje se sar nikalte haiñ
saaz kyā hai ye bāñsurī kyā hai