Raheel Farooq

kisi ne kaise nibhai hai aasman se na puchh

Raheel Farooq

Abdul Hakeem, Punjab, Pakistan

1986
kisī ne kaise nibhā.ī hai āsmāñ se na pūchh
na pūchh tā.ir-e-gum-karda-āshiyāñ se na pūchh
sahar bajā-e-ḳhud ik dāstāñ na ho jaa.e
hikāyat-e-shab-e-rafta mirī azaañ se na pūchh
tire jamāl ko mahshar samajh rahe haiñ log
umaD ke aa.ī hai ḳhilqat kahāñ kahāñ se na pūchh
javāb aur to mil jā.eñge sabhī lekin
mirā qusūr hī arbāb-e-do-jahāñ se na pūchh
lagā nuqūsh-e-qadam kā surāġh aap zarā
ye baaġh kis ne ujāḌā hai bāġhbāñ se na pūchh
jo ḳhush-bayāñ haiñ sunā deñge yuuñ bhī sab ahvāl
jo be-zabāñ kā fasāna hai be-zabāñ se na pūchh
agarche ishq hai puure vajūd kā dushman
magar jo dil pe guzartī hai nīm-jāñ se na pūchh
har ik nigāh pe khultā nahīñ vo dar 'rāhīl'
udhar kā rāsta sālār-e-kārvāñ se na pūchh
Top Urdushayar.com