bā-vafā koī koī hotā hai
maiñ bhī thā koī koī hotā hai
qadr kar merī qadr kar zālim
dil-jalā koī koī hotā hai
ibn-e-ādam ke rog bahutere
lā-davā koī koī hotā hai
kaun zālim nahīñ zamāne meñ
aap sā koī koī hotā hai
dil meñ kaahe na chor ghar karte
dar bhī vā koī koī hotā hai
jis tarah ham haiñ aap ke sarkār
ba-ḳhudā koī koī hotā hai
sab kā hotā hai dard koī na koī
dard kā koī koī hotā hai
aa.ina aap ā.ina-bīñ aap
dekhnā koī koī hotā hai
yuuñ to qātil haiñ an-ginat 'rāhīl'
āshnā koī koī hotā hai