tere kūche meñ jā ke bhuul ga.e
ḳhud ko ham yaad aa ke bhuul ga.e
zaḳhm ḳhandāñ haiñ aaj bhī mere
aap to muskurā ke bhuul ga.e
bahs go nāsehoñ ne achchhī kī
mudda.ā saTpaTā ke bhuul ga.e
jo bhulā.e na bhūlte the sitam
sāmne un ko pā ke bhuul ga.e
kaun the kyā the ham kahāñ ke the
jaane kis ko batā ke bhuul ga.e
ham to ḳhair un ko bhūlte the kahāñ
va.ade lekin vafā ke bhuul ga.e
aise bhī kyā alaav bujhte haiñ
dil ko samjhā-bujhā ke bhuul ga.e
haa.e āñkheñ to ham bhī rakhte the
haa.e ham to milā ke bhuul ga.e
bhuul jaatā hai aadmī lekin
aap nazdīk lā ke bhuul ga.e
ishq 'rāhīl' usī ko kahte haiñ
rañj uThā.e uThā ke bhuul ga.e