aap sultān huā kiije gadā ham bhī nahīñ
is qadar to ga.e-guzre ba-ḳhudā ham bhī nahīñ
ab anā ko kare sajda to mohabbat hī kare
jab.ha-sā aap nahīñ nāsiya-sā ham bhī nahīñ
jā.iye jā.iye mat dekhiye muḌ kar pīchhe
aise shauqīn-e-jafā ḳhār-e-vafā ham bhī nahīñ
chāra-e-sarkashī-e-dil kareñ allāh allāh
vo ḳhudā banda-navāz aap to kyā ham bhī nahīñ
dostī dushmanī ab aap nibhā.eñ to nibhā.eñ
ham ko rabt aap se aisā koī bāham bhī nahīñ
mehrbān aap bhī haiñ aur bhī hoñge lekin
chāhte to dil-e-nādāñ kā burā ham bhī nahīñ
laakh lailā.eñ umaD aa.eñ ġhazal par 'rāhīl'
āḳhir is dasht kī āvāra sadā ham bhī nahīñ