saaqī bhale phaTakne na de paas jaam ke
niyyat to bāñdh sakte haiñ pīchhe imaam ke
qadmoñ meñ deñ jagah hameñ ahl-e-karam kahīñ
ham rāñdgāñ haiñ sajda-gah-e-ḳhās-o-ām ke
āñkhoñ kī baat chhiḌ ga.ī bātoñ ke darmiyān
mai-ḳhāne vaale rah ga.e paimāne thaam ke
vaa.iz ko ūñch-nīch mohabbat kī kyā patā
ye mas.ale nahīñ ulamā-e-kirām ke
kyā ḳhuub vahī pīr-e-ḳharābāt ko huī
jhagḌe haiñ sab harām halāl-o-harām ke
do-chār ashk haal pe mere bahā.iye
shabnam gire laboñ pe kisī tishna-kām ke
aatā na ho barāt sitāroñ kī le ke chāñd
ruḳhsār surḳh kyuuñ hue jaate haiñ shaam ke
insān haiñ farishta-o-iblīs ham nahīñ
qaa.il nahīñ rukū-o-sujūd-o-qayām ke
ahl-e-zamāna un se na bāñdheñ tavaqquāt
ushshāq aadmī haiñ hasīnoñ ke kaam ke
shahr-e-butāñ meñ haiñ jo dar-e-mai-kada pe dafn
pahuñche hue buzurg the 'rāhīl' naam ke