Raheel Farooq

tum apne husn pe ghazlen paDha karo baiThe

Raheel Farooq

Abdul Hakeem, Punjab, Pakistan

1986
tum apne husn pe ġhazleñ paḌhā karo baiThe
ki likhne vaale to muddat se hosh kho baiThe
taras ga.ī haiñ nigāheñ ziyāda kyā kahiye
sanam sanam rahe behtar ḳhudā na ho baiThe
ḳhudā ke fazl se ta.alīm vo huī hai aam
ḳhirad to ḳhair junūñ se bhī haath dho baiThe
burā kiyā ki talātum meñ nā-ḳhudā.ī kī
kināra bhī na milā naav bhī Dubo baiThe
marīz-e-ishq kā jaldī janāza niklegā
kuchh aur der patā pūchhte raho baiThe
tamām shahr meñ bāñTī hai dard kī ḳhairāt
ham us kī diin ko dil meñ nahīñ samo baiThe
tumhārī bazm bahut tañg aur dasht vasī.a
chale to aa.e ghaḌī-do-ghaḌī hī go baiThe
bujhī na ātish-e-dil hī kisī tarah 'rāhīl'
vagarna yaar to āñkheñ bahut bhigo baiThe
Top Urdushayar.com