puḳhta hone na diyā ḳhaam bhī rahne na diyā
ishq ne ḳhaas to kyā aam bhī rahne na diyā
hā.e-re gardish-e-ayyām ki ab ke tū ne
shikva-e-gardish-e-ayyām bhī rahne na diyā
āḳhir-kār pukārā use zālim kah kar
dard ne dost kā ikrām bhī rahne na diyā
koī kyuuñ aa.egā dobāra tirī jannat meñ
daana bhī chhīn liyā daam bhī rahne na diyā
aish meñ pahle kahāñ apnī basar hotī thī
yaad ne do ghaḌī ārām bhī rahne na diyā
dil ko āvārgiyāñ duur bahut chhoḌ aa.iiñ
zikr-e-ḳhair ek taraf naam bhī rahne na diyā
vahī zanjīr hai tere bhī gale meñ 'rāhīl'
jis ne sūraj ko lab-e-bām bhī rahne na diyā