Raheel Farooq

kya hi tapta hai sulagta hai dhuan deta hai

Raheel Farooq

Abdul Hakeem, Punjab, Pakistan

1986
kyā hī taptā hai sulagtā hai dhuāñ detā hai
hijr kī shaam to dil bāñdh samāñ detā hai
kaun kambaḳht na chāhegā nikalnā lekin
itnī mohlat hī tirā daam kahāñ detā hai
qaul to ek bhī puurā na huā ab dekhūñ
kyā dalīl us kī mirā sho.ala-bayāñ detā hai
tab-e-nāzuk pe guzartā hai garāñ to guzre
zeb vahshī ko yahī tarz-e-fuġhāñ detā hai
ḳhaas bandoñ ko pukāregā idhar to rizvāñ
dāvat-e-ām idhar shahr-e-butāñ detā hai
ek muddat se badan barf hai lekin ab tak
karvaTeñ dil ko koī soz nihāñ detā hai
nāznīñ paḌhte haiñ 'rāhīl' kī ġhazleñ kyā ḳhuub
daad har sher kī har pīr-o-javāñ detā hai
Top Urdushayar.com