tañg naddī ke taḌapte hue paanī kī tarah
ham ne Daalī hai na.ī ek ravānī kī tarah
Dhalte Dhalte bhī ġhazab Dhaa.e gayā hijr kā din
kisī kāfir kī junūñ-ḳhez javānī kī tarah
aisī vahshat kā burā ho ki ham apne ghar se
ġham hue ḳhud bhī mohabbat kī nishānī kī tarah
nañge sach qābil-e-bardāsht kahāñ hote haiñ
vāqi.a kahiye to kahiyegā kahānī kī tarah
paas rakkheñ to malāl aag lagā.eñ to malāl
dil bhī hai kyā kisī tasvīr purānī kī tarah
ishq hai madrasa-e-zīst kī ukhḌī huī iiñT
hama-dānī kī tarah hech-mudānī kī tarah
ye ġhazal hazrat-e-'rāhīl' kī hai dhyān rahe
aap poshīda haiñ lafzoñ meñ ma.ānī kī tarah