chhin ga.e ḳhud se tumhāre ho ga.e
tum pe āshiq dil ke maare ho ga.e
kuchh din āvāra phire sayyāra-vār
rah ga.e tum par sitāre ho ga.e
tujh pe qurbāñ ai jamāl-e-ahd-e-soz
jis ke biyāhe bhī kuñvāre ho ga.e
kyā usī ko kahte haiñ rabt-e-dilī
chor dil ke jaañ se pyāre ho ga.e
ham the tere ḳhāksāroñ meñ shumār
hāsidoñ meñ chāñd-tāre ho ga.e
chaar nazreñ chaar bāteñ chaar din
ham tumhāre tum hamāre ho ga.e
ik nazar karne se terā kyā gayā
ahl-e-dil ke vāre-nyāre ho ga.e
kuchh to ḳhud dil pheñk the 'rāhīl' ham
kuchh udhar se bhī ishāre ho ga.e