Raheel Farooq

hum tere ishq pe maghrur na ho jaen kahin

Raheel Farooq

Abdul Hakeem, Punjab, Pakistan

1986
ham tire ishq pe maġhrūr na ho jaa.eñ kahīñ
is qadar paas na aa duur na ho jaa.eñ kahīñ
hameñ ā.īna banā le ki ye sāhir āñkheñ
apne hī sehr se mas.hūr na ho jaa.eñ kahīñ
siina tābūt na ban jaa.e kisī bulbul kā
ḳhushbueñ baaġh kī kāfūr na ho jaa.eñ kahīñ
mat hañsā is qadar ai naubat-e-hālāt hameñ
jo faqat zaḳhm haiñ nāsūr na ho jaa.eñ kahīñ
dhaḌkaneñ kyā haiñ bas ik raakh meñ larzish sī hai
phir vahī jalve sar-e-tūr na ho jaa.eñ kahīñ
jugnuoñ ko to biThā letī hai āñkhoñ pe havā
diye Darte haiñ ki be-nūr na ho jaa.eñ kahīñ
zarre zarre meñ to vo ḳhud hai makīñ varna ham
chhup na jaa.eñ kahīñ mafrūr na ho jaa.eñ kahīñ
āzmā.ish meñ na Daal apne laboñ ko mat bol
furqateñ bhī hameñ manzūr na ho jaa.eñ kahīñ
ham to āshiq haiñ hamārā to chalo kaam sahī
sajde is shahr kā dastūr na ho jaa.eñ kahīñ
aap ke ishq meñ ham ho to ga.e aap hī aap
aap ke naam se mash.hūr na ho jaa.eñ kahīñ
ishq ko hazrat-e-'rāhīl' samajhte to haiñ jabr
qibla-o-ka.aba bhī majbūr na ho jaa.eñ kahīñ
Top Urdushayar.com