kise ḳhayāl ki ishrat ke baab kitne haiñ
ye pyaas kitnī hai is par sarāb kitne haiñ
safīna ghaaT lagā dekh ham ye bhuul ga.e
ki vo safīne jo haiñ ġharq-e-āb kitne haiñ
tū ye na pūchh mire gaañv meñ haiñ ghar kitne
ye pūchh kaun se ghar meñ azaab kitne haiñ
sharīk-e-ġham use kar to liyā magar socho
ki zimmedār ke zimme javāb kitne haiñ
baḌā ġhurūr hai tujh ko aziim lashkar par
kabhī to soch tire ham-rikāb kitne haiñ
lachaktī shāḳh pe kāñTe bhī kam nahīñ hote
yahī na dekhiye kis par gulāb kitne haiñ