Amar Singh Figar

na wo jazbaat ki lahren na ehsasat ka dariya

Amar Singh Figar

Himachal Pradesh, India

1913
na vo jazbāt kī lahreñ na ehsāsāt kā dariyā
liye phirtā huuñ āñkhoñ meñ ajab ḳhadshāt kā dariyā
machaltī shoḳh maujoñ ko maiñ apne naam kyuuñ likkhūñ
ki āḳhir ḳhushk hogā mausam-e-barsāt kā dariyā
kise ma.alūm ye kashtī lage kis ghaaT par jā kar
bahā le jaa.e kyā jaane kidhar hālāt kā dariyā
kahāñ is aañkh kā jugnū ki chamke bhī to chhupne ko
kahāñ ham bekasoñ kī bātinī zulmāt kā dariyā
havā.eñ chup ḳhalā vīrāñ fazā ġhamgīñ safar mushkil
ravāñ hadd-e-nazar tak jabr ke lamhāt kā dariyā
zabāñ kī ḳhāmushī taqrīr ko dafnā nahīñ saktī
nahīñ ruktā 'figār' alfāz-o-taḳhlīqāt kā dariyā
Top Urdushayar.com