Amar Singh Figar

josh-e-takmil-e-tamanna hai KHuda KHair kare

Amar Singh Figar

Himachal Pradesh, India

1913
josh-e-takmīl-e-tamannā hai ḳhudā ḳhair kare
ḳhaak hone kā andesha hai ḳhudā ḳhair kare
jāñ-nisāroñ ko natīje kā tasavvur hī kahāñ
ā.īna sañg pe martā hai ḳhudā ḳhair kare
sab ne rasmī hī hañsī lab pe sajā rakkhī hai
har koī dard meñ Duubā hai ḳhudā ḳhair kare
pyaas paanī ke tajassus meñ bhaTaktī hai jahāñ
duur tak ret kā dariyā hai ḳhudā ḳhair kare
ik taraf vaqt ke muñh-zor bagūloñ kā hujūm
ik taraf zard sā pattā hai ḳhudā ḳhair kare
tū ne ghar yuuñ to bulandī pe banāyā hai 'figār'
tū magar niiñd meñ chaltā hai ḳhudā ḳhair kare
Top Urdushayar.com