phir koī mushkil javāñ hone ko hai
dostoñ kā imtihāñ hone ko hai
jhoñke dam sādhe khaḌe haiñ chār-sū
koī hañgāma yahāñ hone ko hai
bhiig jaane par bhī jo bujhtā na thā
aaj vo sho.ala dhuāñ hone ko hai
ye bahāreñ aur gul buuTe niDhāl
fasl-e-gul daur-e-ḳhizāñ hone ko hai
zindagī se kījiye ummīd kyā
zindagī ḳhud rā.egāñ hone ko hai
zabt kā had se guzarnā dekhiye
raaz āñkhoñ se bayāñ hone ko hai
manzil-e-maqsūd jab aa.ī nazar
rāhbar sañg-e-garāñ hone ko hai