baiThā hai sogvār sitamgar ke shahr meñ
kis ko pukāre ā.īna patthar ke shahr meñ
bejā nahīñ fazāoñ kā hairat meñ Dūbnā
itnā sukūt aur suḳhan-var ke shahr meñ
is daur meñ usī ko hunar-mand māniye
jiinā nahīñ paḌā jise mar mar ke shahr meñ
manzil qarīb aa.ī to rasta bhulā gayā
phirte haiñ ḳhaak chhānte rahbar ke shahr meñ
sūraj nazar bachā ke to guzrā na thā magar
utrīñ nahīñ shuā.eñ muqaddar ke shahr meñ
insāñ kahūñ unheñ ki farishtoñ kā naam duuñ
jo log dard-mañd haiñ be-ghar ke shahr meñ
shāyad nikal hī aa.e koī chāragar 'figār'
ik baar aur dekh sadā kar ke shahr meñ