majbūriyoñ meñ baañT le jo dard kaun hai
palkoñ se jhāḌe gul pe jamī gard kaun hai
sho.aloñ pe nañge paañv chalā jā rahā hai jo
dekho vo burdbār javāñ-mard kaun hai
sahrā sulag rahā ho to paanī bujhā.egā
paanī kī aag ko jo kare sard kaun hai
in mahvashoñ kī bhiiḌ meñ ḳhāmosh ik taraf
baiThā hai jo chhupā.e ruḳh-e-zard kaun hai
bhūle se aa gayā huuñ farishtoñ ke des meñ
kis se pata karūñ ki yahāñ fard kaun hai
yārab mujhe chaḌhā de kisī hādse kī bheñT
dekhūñ ki merā shahr meñ hamdard kaun hai