kaun kahtā hai ki tum socho nahīñ
soch meñ itne magar Duubo nahīñ
chup haiñ dīvāreñ to kyā bahrī bhī haiñ
sab hama-tan-gosh haiñ bolo nahīñ
phuul to kyā ḳhaar bhī manzūr haiñ
be-ruḳhī se yuuñ magar pheñko nahīñ
apnī hī sūrat se tum Dar jāoge
aa.ine meñ āj-kal jhāñko nahīñ
aaj kuchh tum ko ziyāda ho ga.ī
jaao so jaao miyāñ uljho nahīñ
fāsla vo hai ki baḌhtā jā.egā
lams ke ḳhvāboñ meñ yuuñ bhaTko nahīñ
maiñ zamīñ kā dard huuñ yaaro mujhe
āsmānoñ kā pata pūchho nahīñ