Amar Singh Figar

jab koi rasta nahin hota

Amar Singh Figar

Himachal Pradesh, India

1913
jab koī rāsta nahīñ hotā
kaun mahv-e-duā nahīñ hotā
log zulmat se yuuñ hī nālāñ haiñ
roz-e-raushan meñ kyā nahīñ hotā
TuuTe tāroñ ko chhū ke dekhā hai
sāz-e-dil be-sadā nahīñ hotā
har ḳhushī dil se kyuuñ lagā baiTheñ
kis meñ ġham ho pata nahīñ hotā
aao mil baiTh lo ghaḌī-do-ghaḌī
us ghaḌī kā pata nahīñ hotā
sard-mehrī hamārī aadat hai
varna zarre meñ kyā nahīñ hotā
phir vahī shab vahī tavīl safar
ḳhatm ye silsila nahīñ hotā
Top Urdushayar.com