sitāra aañkh meñ dil meñ gulāb kyā rakhnā
ki Dhaltī umr meñ rañg-e-shabāb kyā rakhnā
jo regzār-e-badan meñ ġhubār uḌtā ho
to chashm-e-ḳhāk-e-rasīda meñ ḳhvāb kyā rakhnā
safar nasīb hī Thahrā jo dasht-e-ġhurbat kā
to phir gumāñ meñ fareb-e-sahāb kyā rakhnā
jo Duub jaanā hai ik din jazīra-e-dil bhī
to koī naqsh sar-e-sat.h-e-āb kyā rakhnā
ulaT hī denā hai āḳhir piyāla-e-jāñ bhī
havā ke dosh pe tasht-e-habāb kyā rakhnā
bas itnā yaad hai ik bhuul sī huī thī kahīñ
ab is se baḌh ke dukhoñ kā hisāb kyā rakhnā