nikal rahā huuñ yaqīñ kī had se gumāñ kī jānib
safar hai merā zamīn se āsmāñ kī jānib
muñDer par koī chashm-e-tar thī ki aa.ina thā
sitāra-e-shām dekhtā thā makāñ kī jānib
ye ḳhvāb hai yā tilism koī ki ḳhushk patte
khiñche chale jā rahe haiñ āb-e-ravāñ kī jānib
koī to uupar se bojh Daalā gayā hai varna
jhukā huā āsmāñ hai kyuuñ ḳhāk-dāñ kī jānib
to phir mire saath us kā chalnā muhāl Thahrā
dhyān rahtā thā us kā sūd-o-ziyāñ kī jānib
sukūnat-e-qalb ḳhālī siine pe aise utrī
amaañ ḳhudī chal ke aa ga.ī be-amāñ kī jānib