aañkh khulne pe bhī hotā huuñ usī ḳhvāb meñ gum
der tak rahtā huuñ ik lazzat-e-nāyāb meñ gum
soch hī soch meñ tūfān uThā detā huuñ
aur ho jaatā huuñ ik mauja-e-girdāb meñ gum
ik sitāra jo chamaktā hai lab-e-bām kahīñ
dekhte dekhte ho jaatā hai mahtāb meñ gum
bach rahe saañs to jaanā hai unhīñ galiyoñ meñ
aur honā hai usī halqa-e-ahbāb meñ gum
aise nashshe se sivā aur nasha kyā hotā
aap kā ḳhvāb jo ho jaatā mire ḳhvāb meñ gum
sajda-e-shauq ke māthoñ se nishāñ miTne lage
ho ga.ī rasm-e-azāñ gumbad-o-mehrāb meñ gum
gum to honā thā ba-har-hāl kisī manzar meñ
dil huā ḳhvāb meñ gum aañkh huī aab meñ gum