yuuñ hī rakkhoge imtihāñ meñ kyā
nahīñ aa.egī jaan jaañ meñ kyā
kyuuñ sadā kā nahīñ javāb aatā
koī rahtā nahīñ makāñ meñ kyā
ik zamāna hai rū-ba-rū mere
tum na aaoge darmiyāñ meñ kyā
vo jo qisse diloñ ke andar haiñ
vo bhī lāoge darmiyāñ meñ kyā
kis qadar talḳhiyāñ haiñ lahje meñ
zahr bote ho tum zabāñ meñ kyā
dil ko shikva nahīñ koī tum se
ham ne rahnā nahīñ jahāñ meñ kyā
vo jo ik lafz e'tibār kā thā
ab nahīñ hai vo darmiyāñ meñ kyā
mere ḳhvāboñ ke jo parinde the
haiñ abhī tak tirī amaañ meñ kyā
ab to ye bhī nahīñ ḳhayāl aatā
chhoḌ aa.e the is jahāñ meñ kyā
ye bakheḌā jo zindagī kā hai
chhoḌ duuñ us ko darmiyāñ meñ kyā
chand va.ade the chand da.ave the
aur rakhā thā dāstāñ meñ kyā
jaane vo dil thā yā diyā koī
raat jaltā thā sham.a-dāñ meñ kyā