chaḌhe hue haiñ jo dariyā utar bhī jā.eñge
mire baġhair tire din guzar bhī jā.eñge
uḌā rahī haiñ havā.eñ parā.e sehnoñ meñ
Dhalegī raat to ham apne ghar bhī jā.eñge
jo ro rahī hai yahī aañkh hañs rahī hogī
tire dayār meñ bār-e-digar bhī jā.eñge
talāsh ḳhud ko kahīñ ḳhāk-o-āb meñ kar leñ
tumhāre khoj meñ phir dar-ba-dar bhī jā.eñge
hamesha ek sī hālat pe kuchh nahīñ rahtā
jo aa.e haiñ to kaḌe din guzar bhī jā.eñge
ye phuul phuul kisī ḳhushnumā kī tahrīreñ
ye lafz ma.anoñ se apne mukar bhī jā.eñge