koī hunar to mirī chashm-e-ashk-bār meñ hai
ki aaj bhī vo kisī ḳhvāb ke ḳhumār meñ hai
kisī bahār kā manzar hai chashm-e-vīrāñ meñ
kisī gulāb kī ḳhushbū dil-e-figār meñ hai
ajab taqāzā hai mujh se judā na hone kā
ki jaise kaun-o-makāñ mere iḳhtiyār meñ hai
nishān-e-rāh bhī Thahregā bārishoñ ke ba.ad
abhī ye naqsh kisī raah ke ġhubār meñ hai
ufuq ke aks kisī aa.ine meñ kyā simTīñ
ki shauq-e-jalva abhī apne intishār meñ hai
makāñ kī koī ḳhabar lā-makāñ ko kaise ho
safīr-e-rūh abhī jism ke hisār meñ hai
kamāl-e-zabt kī saa.at kahīñ guzar bhī jā
sitāra-e-shab-e-ġham mere intizār meñ hai