ab dil bhī dukhāo to aziyyat nahīñ hotī
hairat hai kisī baat pe hairat nahīñ hotī
ab dard bhī ik had se guzarne nahīñ paatā
ab hijr meñ vo pahlī sī vahshat nahīñ hotī
hotā hai to bas ek tire hijr kā shikva
varna to hameñ koī shikāyat nahīñ hotī
kar detā hai be-sāḳhta bāñhoñ ko kushāda
jab bach ke nikal jaane kī sūrat nahīñ hotī
dil ḳhush jo nahīñ rahtā to is kā bhī sabab hai
maujūd koī vaj.h-e-masarrat nahīñ hotī
yuuñ bar-sar-e-paikār huuñ maiñ ḳhud se musalsal
ab us se ulajhne kī bhī fursat nahīñ hotī
ab yuuñ bhī nahīñ hai ki vo achchhā nahīñ lagtā
yuuñ hai ki mulāqāt kī sūrat nahīñ hotī
ye hijr-e-musalsal kā vazīfa hai mirī jaañ
ik tark-e-sukūnat hī to hijrat nahīñ hotī
do chaar baras jitne bhī haiñ jabr hī sah leñ
is umr meñ ab ham se baġhāvat nahīñ hotī