zaḳhm dekhe na mire zaḳhm kī shiddat dekhe
dekhne vaalā mirī āñkhoñ kī hairat dekhe
mujh pe āsāñ hai kahe lafz kā iifā karnā
us ko mushkil hai to vo apnī suhūlat dekhe
dil liye jaatā hai phir kū-e-malāmat kī taraf
aañkh ko chāhiye phir ḳhvāb-e-hazīmat dekhe
koī sūrat ho ki inkār se pahle aa kar
kis qadar us kī yahāñ par hai zarūrat dekhe
dil tazabzub meñ hī rahtā hai ba-vaqt-e-paimāñ
lafz dekhe ki ruḳh-e-yār kī rañgat dekhe
aañkh bhar jaatī hai is kasrat-e-nazzāra se
dil to har shakl meñ bas ek shabāhat dekhe