āñkhoñ meñ ḳhvāb taaza hai dil meñ nayā ḳhayāl bhī
aur jo mehrbāñ rahe gardish-e-māh-o-sāl bhī
milne kī ehtimām tak ham tire muntazir rahe
ab to nahīñ rahā magar milne kā ehtimāl bhī
vaqt kahāñ rukā bhalā par ye kise gumān thā
umr kī zad meñ aa.egā tujh sā parī-jamāl bhī
us ne diye the phuul jo ab use kyā dikhā.iye
rakhtā nahīñ hai jabki dil ḳhvāhish-e-indimāl bhī
ḳhvāb-e-jamāl tāza-tar aayā thā chor kī tarah
khurach ke dil se le gayā aap ke ḳhad-o-ḳhāl bhī
laao to maiñ hī Taañk duuñ taare ko āsmān par
mere hī haath se agar honā hai ye kamāl bhī