manzil-e-ḳhvāb hai aur mahv-e-safar paanī hai
aañkh kyā kholīñ ki tā-hadd-e-nazar paanī hai
aa.ina hai to koī aks kahāñ hai is meñ
kyuuñ bahā kar nahīñ le jaatā agar paanī hai
ek ḳhvāhish ki jo sahrā-e-badan se niklī
khīñchtī hai usī jānib ko jidhar paanī hai
paañv uThte haiñ kisī mauj kī jānib lekin
rok letā hai kināra ki Thahar paanī hai
ab bhī bādal to barastā hai par us paar kahīñ
kisht-e-be-āb idhar aur idhar paanī hai
khīñchtā hai koī sayyāra tire pyāsoñ ko
us ilāqe meñ jahāñ ḳhāk-basar paanī hai
chashm-e-nam aur dil labrez bahut haiñ mujh ko
ḳhitta-e-ḳhāk hai aur zād-e-safar paanī hai