ḳhaak se ḳhvāb talak ek sī vīrānī hai
mere andar mire bāhar kī bayābānī hai
koī manzar kahīñ maujūd hai pas-manzar meñ
varna kyā chiiz hai jo bā.is-e-hairānī hai
kah ke dekheñge ba-har-taur magar pahle bhī
dil-e-ḳhud-sar ne koī baat kahāñ maanī hai
kise mālūm hai ruknā ki guzar jaanā hai
shaam hai Thahrī huī bahtā huā paanī hai
dekh ye dil jo kabhī had se guzar jaatā thā
dekh dariyā meñ koī shor na tuġhyānī hai