sham.a kī lau se khelte dekhe haiñ maiñ ne parvāne do
ik to maut se khel rahā hai ik kahtā hai jaane do
mere badan par tum barsāo pyaar kī shabnam husn kī aag
yuuñ ghul-mil kar ek nazar se ham paḌh leñ afsāne do
jin par jaan luTā dī maiñ ne vo hī mujh se barham haiñ
rone par pābandī hai to qahqaha ek lagāne do
tum ne pilā.ī jitnī pilā.ī dekho haiñ pyāse riñd abhī
sāqī-garī se haath na khīñcho sab kī duā lo aane do
mai se maiñ tauba kar lūñgā ye lo merī tauba hai
pahle mere hāthoñ meñ apnī āñkhoñ ke mai-ḳhāne do
us kā kaam hai kahtā rahnā apnā kaam hai sun lenā
vaa.iz bhī apnā hai 'kañval' tum va.az use farmāne do