ubhar aayā ruḳh par hayā kā nagīna
jabīñ par na dekhā thā aisā pasīna
chalī aa rahī hai hasīnoñ kī Tolī
zamīñ par hai qaus-e-quzah kā qarīna
mire haath aa hī chalā thā kinārā
lagā Dūbne mere dil kā safīna
kasak soī rahtī hai barsoñ kabhī to
jo jaage to jaage mahīna mahīna
bhalā kaun jaane vo aa.eñ na aa.eñ
mire paas rahne hī do jām-o-mīnā
kabhī tum ne dekhī haiñ pur-ḳhār rāheñ
jo kahte ho ulfat ko phūloñ kā ziina
uḌā lī jo chorī se gāloñ kī chuTkī
to bole 'kañval' bhī hai kitnā kamīna