Kanwal Siyalkoti

yun na pine mein basar umr ki har sham karo

Kanwal Siyalkoti

yuuñ na piine meñ basar umr kī har shaam karo
shauq-e-rindī hai to saaqī se nazar aam karo
phir na ā.eñge nazar aise muqaddas chehre
jo baqā baḳhsheñ unheñ duniyā meñ vo kaam karo
hai kudūrat se to phir bhiik se Thokar achchhī
apnī badnāmī se achchhā hai mirā naam karo
but haiñ das biis magar chāhne vaalā dil ek
ek ik kar ke mohabbat se unheñ raam karo
chheḌ do zikr kisī nargis-e-mastāna kā
sāmne mere na tum zikr-e-mai-o-jām karo
tum ko fursat ho agar banñe-sañvarne se nadīm
ishq farmāne se behtar hai ki ārām karo
jaisā gum-sum hai 'kañval' choT hai gahrī khaa.ī
aaj tum us ko rulā do to baḌā kaam karo
Top Urdushayar.com