ye zindagī azaab agar ho to kyā kareñ
ik talḳh sī sharāb agar ho to kyā kareñ
tum se hamāre qalb o nazar kā muāmla
ik vaj.h-e-iztirāb agar ho to kyā kareñ
sidq-o-safā kī aarzū ab kyā kare koī
band āgahī kā baab agar ho to kyā kareñ
fitrat meñ jis kī roz-e-azal se hijāb hai
vo husn be-hijāb agar ho to kyā kareñ
ruḳh ko tumhāre chāñd se tashbīh de to deñ
gahnāyā māhtāb agar ho to kyā kareñ
ham rāz-e-dil chhupāte magar apnī zindagī
puurī khulī kitāb agar ho to kyā kareñ
kar lī hai tauba ham ne magar duḳhtar-e-enab
masjid meñ dastiyāb agar ho to kyā kareñ