jab se mere baaġh meñ añgūr ke daane lage
mujh ko duniyā meñ hī jannat ke maze aane lage
mai-kashoñ ne hī nahīñ DhūñDā mire ghar kā pata
shaiḳh sāhab bhī mujhe ab yaad farmāne lage
ik surūr-o-kaif kā aalam hai taarī bin piye
pyāle saade paanī ke bhī mai ke paimāne lage
jagmagā uTThe haiñ atrāf-o-javānib meñ diye
sham-e-mahfil kī pazīrā.ī meñ parvāne lage
mah-ruḳhoñ kī bazm meñ shirkat nazar aane lagī
aur tasavvur meñ dhanak ke rañg lahrāne lage
tā.eroñ kī chahchahāhaT se huā yuuñ dil gudāz
mere ham-mashrab mujhe naġhmoñ pe uksāne lage
ham pe ik mas.hūr-kun sī kaifiyat taarī huī
aur ham is kaifiyat meñ jhuum kar gaane lage
is tilism-e-rañg-o-bū ke sehr se nikle haiñ jab
ham ko aksar din meñ bhī taare nazar aane lage