tohfa-e-sher-o-suḳhan laa.e haiñ
hadiya-e-tauba-shikan laa.e haiñ
aap kī bazm meñ a ham-suḳhano
apnā sarmāya-e-fan laa.e haiñ
sher kuchh laa.e haiñ jiddat-āmez
kuchh ba-andāz-e-kuhan laa.e haiñ
rang-o-āhang ke gul-daste meñ
phuul kyā saarā chaman laa.e haiñ
sher kī shakl meñ qirtās pe ham
gauhar-o-la.al-e-yaman laa.e haiñ
dil-figārī ke sanam-ḳhāne meñ
dil-navāzī kā chalan laa.e haiñ
lafz meñ nik.hat-e-gul Dhaal ke ham
dasht-e-ġhurbat meñ vatan laa.e haiñ
aaj kī tīra-shabī meñ yaaro
nuur kī ek karan laa.e haiñ