koī aniis koī āshnā nahīñ rakhte
kisī kī aas baġhair az ḳhudā nahīñ rakhte
kisī ko kyā ho diloñ kī shikastagī kī ḳhabar
ki TūTne meñ ye shīshe sadā nahīñ rakhte
faqīr dost jo ho ham ko sarfarāz kare
kuchh aur farsh ba-juz boriyā nahīñ rakhte
musāfiro shab-e-avval bahut hai tiira o taar
charāġh-e-qabr abhī se jalā nahīñ rakhte
vo log kaun se haiñ ai ḳhudā-e-kaun-o-makāñ
suḳhan se kaan ko jo āshnā nahīñ rakhte
musāfirān-e-adam kā pata mile kyūñkar
vo yuuñ ga.e ki kahīñ naqsh-e-pā nahīñ rakhte
tap-e-darūñ ġham-e-furqat varam-e-payāda-ravī
maraz to itne haiñ aur kuchh davā nahīñ rakhte
khulegā haal unheñ jab ki aañkh band huī
jo log ulfat-e-mushkil-kushā nahīñ rakhte
jahāñ kī lazzat o ḳhvāhish se hai bashar kā ḳhamīr
vo kaun haiñ ki jo hirs-o-havā nahīñ rakhte
'anīs' bech ke jaañ apnī hind se niklo
jo tosha-e-safar-e-karbalā nahīñ rakhte