mirā rāz-e-dil āshkārā nahīñ
vo dariyā huuñ jis kā kinārā nahīñ
vo gul huuñ judā sab se hai jis kā rañg
vo bū huuñ ki jo āshkārā nahīñ
vo paanī huuñ shīrīñ nahīñ jis meñ shor
vo ātish huuñ jis meñ sharāra nahīñ
bahut zāl-e-duniyā ne diiñ bāziyāñ
maiñ vo naujavāñ huuñ jo haarā nahīñ
jahannam se ham be-qarāroñ ko kyā
jo ātish pe Thahre vo paarā nahīñ
faqīroñ kī majlis hai sab se judā
amīroñ kā yaañ tak guzārā nahīñ
sikandar kī ḳhātir bhī hai sadd-e-bāb
jo daarā bhī ho to madārā nahīñ
kisī ne tirī tarah se ai 'anīs'
urūs-e-suḳhan ko sañvārā nahīñ