Meer Anees

KHud nawed-e-zindagi lai qaza mere liye

Meer Anees

Faizabad, Uttar pradesh, India

1803-1874
ḳhud naved-e-zindagī laa.ī qazā mere liye
sham-e-kushta huuñ fanā meñ hai baqā mere liye
zindagī meñ to na ik dam ḳhush kiyā hañs bol kar
aaj kyuuñ rote haiñ mere āshnā mere liye
kunj-e-uzlat meñ misāl-e-āsiyā huuñ gosha-gīr
rizq pahuñchātā hai ghar baiThe ḳhudā mere liye
tū sarāpā ajr ai zāhid maiñ sar-tā-pā gunāh
bāġh-e-jannat terī ḳhātir karbalā mere liye
naam raushan kar ke kyūñkar bujh na jaatā misl-e-sham.a
nā-muvāfiq thī zamāne kī havā mere liye
har nafas ā.īna-e-dil se ye aatī hai sadā
ḳhaak tū ho jā to hāsil ho jilā mere liye
ḳhaak se hai ḳhaak ko ulfat taḌaptā huuñ 'anīs'
karbalā ke vāste maiñ karbalā mere liye
Top Urdushayar.com