Meer Anees

ibtida se hum zaif o na-tawan paida hue

Meer Anees

Faizabad, Uttar pradesh, India

1803-1874
ibtidā se ham za.iif o nā-tavāñ paidā hue
uḌ gayā jab rañg ruḳh se ustuḳhvāñ paidā hue
ḳhāksārī ne dikhā.īñ rif.atoñ par rif.ateñ
is zamīñ se vaah kyā kyā āsmāñ paidā hue
ilm ḳhāliq kā ḳhazāna hai miyān-e-kāf-o-nūn
ek kun kahne se ye kaun-o-makāñ paidā hue
zabt dekho sab kī sun lī aur kuchh apnī kahī
is zabāñ-dānī par aise be-zabāñ paidā hue
shor-baḳhtī aa.ī hisse meñ unhīñ ke vā nasīb
talḳh-kāmī ke liye shīrīñ-zabāñ paidā hue
ehtiyāt-e-jism kyā anjām ko socho 'anīs'
ḳhaak hone ko ye musht-e-ustuḳhvāñ paidā hue
Top Urdushayar.com