Meer Anees

sada hai fikr-e-taraqqi buland-binon ko

Meer Anees

Faizabad, Uttar pradesh, India

1803-1874
sadā hai fikr-e-taraqqī buland-bīnoñ ko
ham āsmān se laa.e haiñ in zamīnoñ ko
paḌheñ durūd na kyuuñ dekh kar hasīnoñ ko
ḳhayāl-e-san.at-e-sāne hai pāk-bīnoñ ko
kamāl-e-faqr bhī shāyāñ hai pāk-bīnoñ ko
ye ḳhaak taḳht hai ham boriyā-nashīnoñ ko
lahad meñ so.e haiñ chhoḌā hai shah-nashīnoñ ko
qazā kahāñ se kahāñ le ga.ī makīnoñ ko
ye jhurriyāñ nahīñ hāthoñ pe zo.af-e-pīrī ne
chunā hai jāma-e-aslī kī āstīnoñ ko
lagā rahā huuñ mazāmīn-e-nau ke phir ambār
ḳhabar karo mire ḳhirman ke ḳhosha-chīnoñ ko
bhalā taraddud-e-bejā se un meñ kyā hāsil
uThā chuke haiñ zamīñdār jin zamīnoñ ko
unhīñ ko aaj nahīñ baiThne kī jā miltī
muaaf karte the jo log kal zamīnoñ ko
ye zā.iroñ ko milīñ sarfarāziyāñ varna
kahāñ nasīb ki chūmeñ malak jabīnoñ ko
sajāyā ham ne mazāmīñ ke taaza phūloñ se
basā diyā hai in ujḌī huī zamīnoñ ko
lahad bhī dekhiye in meñ nasīb ho ki na ho
ki ḳhaak chhān ke paayā hai jin zamīnoñ ko
zavāl-e-tāqat o mū-e-sapīd o zof-e-basar
inhīñ se paa.e bashar maut ke qarīnoñ ko
nahīñ ḳhabar unheñ miTTī meñ apne milne kī
zamīñ meñ gaaḌ ke baiThe haiñ jo dafīnoñ ko
ḳhabar nahīñ unheñ kyā badobast-e-puḳhta kī
jo ġhasb karne lage ġhair kī zamīnoñ ko
jahāñ se uTh ga.e jo log phir nahīñ milte
kahāñ se DhūñD ke ab laa.eñ ham-nashīnoñ ko
nazar meñ phirtī hai vo tīrgī o tanhā.ī
lahad kī ḳhaak hai surma ma.āl-baīnoñ ko
ḳhayāl-e-ḳhātir-e-ahbāb chāhiye har dam
'anīs' Thes na lag jaa.e ābgīnoñ ko
Top Urdushayar.com