Meer Anees

wajd ho bulbul-e-taswir ko jis ki bu se

Meer Anees

Faizabad, Uttar pradesh, India

1803-1874
vajd ho bulbul-e-tasvīr ko jis kī bū se
us se gul-rañg kā da.avā kare phir kis rū se
sham.a ke rone pe bas saaf hañsī aatī hai
ātish-e-dil kahīñ kam hotī hai chaar aañsū se
ek din vo thā ki takiya thā kisī kā baazū
ab sar uThtā hī nahīñ apne sar-e-zānu se
naza.a meñ huuñ mirī mushkil karo āsāñ yāroñ
kholo ta۔avīz-e-shifā jald mire baazū se
shoḳhī-e-chashm kā tū kis kī hai dīvāna 'anīs'
āñkheñ maltā hai jo yuuñ naqsh-e-kaf-e-āhu se
Top Urdushayar.com