Meer Anees

numud o bud ko aaqil habab samjhe hain

Meer Anees

Faizabad, Uttar pradesh, India

1803-1874
numūd o buud ko aaqil habāb samjhe haiñ
vo jāgte haiñ jo duniyā ko ḳhvāb samjhe haiñ
kabhī burā nahīñ jaanā kisī ko apne sivā
har ek zarre ko ham āftāb samjhe haiñ
ajab nahīñ hai jo shīshoñ meñ bhar ke le jaa.eñ
in āñsuoñ ko farishte gulāb samjhe haiñ
zamāna ek tarah par kabhī nahīñ rahtā
isī ko ahl-e-jahāñ inqilāb samjhe haiñ
unhīñ ko dār-e-baqā kī hai puḳhtagī kā ḳhayāl
jo be-sabāti-e-dahr-e-ḳharāb samjhe haiñ
shabāb kho ke bhī ġhaflat vahī hai pīroñ ko
sahar kī niind ko bhī shab kā ḳhvāb samjhe haiñ
lahad meñ aa.eñ nakīrain aa.eñ bismillāh
har ik savāl kā ham bhī javāb samjhe haiñ
agar ġhurūr hai aadā ko apnī kasrat par
to is hayāt ko ham bhī habāb samjhe haiñ
na kuchh ḳhabar hai hadīsoñ kī in safīhoñ ko
na ye ma.āni-e-ummul-kitāb samjhe haiñ
kabhī shaqī mutamatta na hoñge duniyā se
jise ye aab use ham sarāb samjhe haiñ
muzīl-e-aql hai duniyā kī daulat ai mun.im
usī ke nashshe ko suufī sharāb samjhe haiñ
harārateñ haiñ ma.āl-e-halāvat-e-duniyā
vo zahr hai jise ham shahd-e-nāb samjhe haiñ
'anīs' maḳhmal o diibā se kyā faqīroñ ko
isī zamīn ko ham farsh-e-ḳhvāb samjhe haiñ
Top Urdushayar.com