kyā sahl samjhe ho kahīñ dhabbā chhuTā na ho
zālim ye merā ḳhuun hai rañg-e-hinā na ho
yārab mujhe hai dāġh-e-tamannā bahut aziiz
pahlū se dil judā ho magar ye judā na ho
rāheñ nikāltā hai yahī soz-o-sāz kī
pahlū meñ dil na ho to koī hausla na ho
tum aur vafā karo ye na mānūñgā maiñ kabhī
us ko fareb do jo tumheñ jāntā na ho
kyā kyā 'sharar' zalīl hue aabrū ga.ī
aisā bhī āshiqī kā kisī ko mazā na ho