rag-o-pai meñ sarāyat kar gayā vo
mujhī ko mujh se ruḳhsat kar gayā vo
na Thahrā koī mausam vasl-e-jāñ kā
muta.ayyan raah furqat kar gayā vo
man o tū kī girī dīvār sar par
bayāñ kaisī haqīqat kar gayā vo
darūn-e-ḳhāna se ġhāfil hai lekin
barūn-e-ḳhāna zīnat kar gayā vo
sar-e-shab hī meñ aksar jal bujhā huuñ
har ik ḳhvāhish ko lat-pat kar gayā vo
havādis kā vo tund o shoḳh jhoñkā
samar dil kā akārat kar gayā vo
matā-e-ġham chhupā kar kyuuñ na rakkhūñ
havāle ye amānat kar gayā vo
tumheñ bhī bhūlne kī koshisheñ kiiñ
ki ḳhud par bhī qayāmat kar gayā vo
sukūñ-āmez lamhoñ meñ 'farīd' ab
faroġh-e-rañj-o-mehnat kar gayā vo